Shayari
inkaar hi kar dijiye iqraar nahin to
uljhan hi mein mar jaaegaa bimaar nahin to
kis kis ko bataaun ki main buzdil nahin 'raaghib'
is daur mein mafhum-e-sharaafat hi alag hai
کس کس کو بتاؤں کہ میں بزدل نہیں راغبؔ
اس دور میں مفہوم شرافت ہی الگ ہے
किस किस को बताऊँ कि मैं बुज़दिल नहीं 'राग़िब'
इस दौर में मफ़्हूम-ए-शराफ़त ही अलग है

inkaar hi kar dijiye iqraar nahin to
uljhan hi mein mar jaaegaa bimaar nahin to
'raaghib' vo meri fikr mein khud ko bhi bhuul jaaein
aisi to koi baat nahin chaahtaa thaa main
ji chaahtaa hai jiinaa jazbaat ke mutaabiq
haalaat kar rahe hain haalaat ke mutaabiq
din mein aane lage hain khvaab mujhe
us ne bhejaa hai ik gulaab mujhe
le jaae jahaan chaahe havaa ham ko uDaa kar
TuuTe hue patton ki hikaayat hi alag hai
paDhtaa rahtaa huun aap kaa chehra
achchhi lagti hai ye kitaab mujhe
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
tire honTon ki surkhi dekh kar to aisaa lagtaa hai
chabaayaa hai kisi 'aashiq kaa dil hinda-mizaaji se
dil toD diyaa us ne ye kah ke nigaahon se
patthar se jo Takraae vo jaam nahin hotaa
pechidgi-e-taba ki ye saaf hai dalil
maani ulajh ke rah gae un ke kalaam mein
rozi-rasaan khudaa hai fikr-e-maaash mat kar
is khaar kaa tu dil mein khauf-e-kharaash mat kar