Shayari
suraj huun chamakne kaa bhi haq chaahiye mujh ko
main kohr mein lipTaa huun shafaq chaahiye mujh ko
musalsal jaagne ke baa'd khvaahish ruuTh jaati hai
chalan sikhaa hai bachche ki tarah us ne machalne kaa
مسلسل جاگنے کے بعد خواہش روٹھ جاتی ہے
چلن سیکھا ہے بچے کی طرح اس نے مچلنے کا
मुसलसल जागने के बाद ख़्वाहिश रूठ जाती है
चलन सीखा है बच्चे की तरह उस ने मचलने का

suraj huun chamakne kaa bhi haq chaahiye mujh ko
main kohr mein lipTaa huun shafaq chaahiye mujh ko
vo chaand hai to aks bhi paani mein aaegaa
kirdaar khud ubhar ke kahaani mein aaegaa
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
ab tu darvaaze se apne naam ki takhti utaar
lafz nange ho gae shohrat bhi gaali ho gai
suraj huun zindagi ki ramaq chhoD jaaungaa
main Duub bhi gayaa to shafaq chhoD jaaungaa
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
khul gayaa un ki aarzu mein ye raaz
ziist apni nahin paraai hai
aankhein khulin to jaag uThin hasratein tamaam
us ko bhi kho diyaa jise paayaa thaa khvaab mein
dil ki hasrat na rahi dil mein mire kuchh baaqi
ek hi tegh lagaa aisi ai jallaad ki bas
kab pilaavegaa tu ai saaqi mujhe jaam-e-sharaab
jaan-ba-lab huun aarzu mein mai ki paimaane ki tarah
majnun hain magar khvaahish-e-lailaa nahin karte
ham ishq to karte hain tamannaa nahin karte