Shayari
yuun zindagi guzar rahi hai meri
jo un ki hai vahi khushi hai meri
in andheron se pare is shab-e-gham se aage
ik nai subh bhi hai shaam-e-alam se aage
ان اندھیروں سے پرے اس شب غم سے آگے
اک نئی صبح بھی ہے شام الم سے آگے
इन अंधेरों से परे इस शब-ए-ग़म से आगे
इक नई सुब्ह भी है शाम-ए-अलम से आगे

yuun zindagi guzar rahi hai meri
jo un ki hai vahi khushi hai meri
ik saaya sharmaataa lajaataa raah mein tanhaa chhoD gayaa
main parchhaain DhunD rahaa huun TuuTi hui divaaron par
vo tere bichhaDne kaa samaan yaad jab aayaa
biite hue lamhon ko sisakte hue dekhaa
kaun dekhegaa mujh mein ab chehra
aaina thaa bikhar gayaa huun main
zaahiri shakl meri zinda hai
aur andar se mar gayaa huun main
daryaaft kar ke khud ko zamaane se duur huun
har shakhs baa-shuur hai main be-shuur huun
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
tamaam umr jo hanstaa hi rah gayaa yaaro
balaa kaa dard thaa us shakhs ki kahaani mein
dasht-e-tanhaai mein jiine kaa saliqa sikhiye
ye shikasta baam-o-dar bhi ham-safar ho jaaeinge