Shayari
hazaar jaam chhalakte hue nafas-ba-nafas
hazaar baagh mahakte hue qadam-ba-qadam
I
Izhaar Malihabadisubu-e-falsafa-e-ishq-o-kahkashaan-e-hayaat
shuaa-e-qahr-e-tabassum charaagh-e-dida-e-nam
سبوئے فلسفۂ عشق و کہکشان حیات
شعاع قہر تبسم, چراغ دیدۂ نم
सुबू-ए-फ़लसफ़ा-ए-इश्क़-ओ-कहकशान-ए-हयात
शुआ-ए-क़हर-ए-तबस्सुम, चराग़-ए-दीदा-ए-नम
hazaar jaam chhalakte hue nafas-ba-nafas
hazaar baagh mahakte hue qadam-ba-qadam
jahaan hai sher charaagh-e-junun jalaae hue
vahaan khaDi hai khirad apnaa sar jhukaae hue
harim-e-dil mein jab aataa hai naaz farmaataa
tarab ke phuul khilaataa hai ye musavvir-e-gham
khumaar-e-dida-e-anjum sharaab-e-lail-o-nahaar
hikaayat-e-na-shunida nigaar-e-naa-mahram
khurush-e-sarsar-o-tufaan jamud-e-dasht-o-saraab
surud-e-fasl-e-bahaaraan khiraam-e-gardish-e-yam
na puchh sher hai kyaa chiiz mujh se ai hamdam
mizaaj-e-aatish-e-sozaan lataafat-e-shabnam
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
charchaa hamaaraa ishq ne kyuun jaa-ba-jaa kiyaa
dil us ko de diyaa to bhalaa kyaa buraa kiyaa