Shayari
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
aafrin tujh ko hasrat-e-didaar
chashm-e-tar se zabaan kaa kaam liyaa
آفریں تجھ کو حسرت دیدار
چشم تر سے زباں کا کام لیا
आफ़रीं तुझ को हसरत-ए-दीदार
चश्म-ए-तर से ज़बाँ का काम लिया

tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
vo haath un ke chumti hai main huun paaemaal
ye hain mire nasib vo qismat hinaa ki hai
pesh-khema hain qayaamat kaa yahi do fitne
baaDh par qad hai taraqqi pe hai jauban teraa
be-hijaabi jo sahi hai tiri shokh aankhon ki
rasm parde ki uThegi isi ghar se pahle
sitam hai sitam kaaba-e-dil kaa Dhaanaa
ye kyaa kar rahe ho ye kyaa ho rahaa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
us shaan-e-aajizi ke fidaa jis ne 'aarzu'
har naaz har ghurur ke qaabil banaa diyaa
ik nazar ne kiyaa hai kaam tamaam
aarzu bhi to thi yahi dil ki
bahut aziiz thi ye zindagi magar ham log
kabhi kabhi to kisi aarzu mein mar bhi gae
ye mere saathi hain pyaare saathi magar inhein bhi nahin gavaaraa
main apni vahshat ke maqbare se nai tamannaa ke khvaab dekhun
hai ek umr se khvaahish ki duur jaa ke kahin
main khud ko ajnabi logon ke darmiyaan dekhun