Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
husn ye hai ki dilrubaa ho tum
aib ye hai ki bevafaa ho tum
حسن یہ ہے کہ دل ربا ہو تم
عیب یہ ہے کہ بے وفا ہو تم
हुस्न ये है कि दिलरुबा हो तुम
ऐब ये है कि बेवफ़ा हो तुम

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
dil-o-nazar ko abhi tak vo de rahe hain fareb
tasavvuraat-e-kuhan ke qadim but-khaane
ye husn-e-dil-fareb ye aalam shabaab kaa
goyaa chhalak rahaa hai piyaala sharaab kaa
mujhe malaal nahin teri bevafaai kaa
main apne aap se aankhein nahin milaa saktaa
ghalat-ravi ko tiri main ghalat samajhtaa huun
ye bevafaai bhi shaamil miri vafaa mein hai
vo baat mujh ko to dushnaam si lagi hai 'atiq'
tumhaaraa naam likhaa kis ne be-vafaaon mein
ghair ne tum ko jaan kahaa samjhe bhi kuchh ki kyaa kahaa
yaani ki bevafaa kahaa jaan kaa e'tibaar kyaa