Shayari
mausam-e-dil jo kabhi zard saa hone lag jaae
apnaa dil khuun karo phuul ugaane lag jaao
ek muddat se khamoshi kaa hai pahra har-su
jaane kis or gae shor machaane vaale
ایک مدت سے خموشی کا ہے پہرہ ہر سو
جانے کس اور گئے شور مچانے والے
एक मुद्दत से ख़मोशी का है पहरा हर-सू
जाने किस ओर गए शोर मचाने वाले

mausam-e-dil jo kabhi zard saa hone lag jaae
apnaa dil khuun karo phuul ugaane lag jaao
giraa thaa bojh koi sar se mere
usi ko phir uThaanaa chaahtaa huun
vahi qatra jo kabhi kunj-e-sar-e-chashm mein thaa
ab jo phailaa hai to sailaab huaa jaataa hai
jaane kis khvaab-e-pareshaan kaa hai chakkar saaraa
bikhraa bikhraa huaa rahtaa hai miraa ghar saaraa
nazar jhuk rahi hai khamoshi hai lab par
hayaa hai adaa hai ki an-ban hai kyaa hai
putliyon par raqs karnaa hi kalaam-e-fan nahin
dard ke aansu ko to paiham ravaani chaahiye
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
miri maili hatheli par to bachpan se
gharibi kaa kharaa sonaa chamaktaa hai
sab honge us se apne taaaruf ki fikr mein
mujh ko mire sukut se pahchaan jaaegaa
ufuq pe yaadon ke zard aanchal mein lipTaa suraj
aur us pe shaamon ke saath Dhalti 'ajib si chup
ik salib-e-vaqt par sayyad himaayat mein miri
jab koi bolaa nahin main intiqaaman chup rahaa
baarish hui to ghar ke dariche se lag ke ham
chup-chaap sogvaar tumhein sochte rahe