Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jhunjhlaae hain lajaae hain phir muskuraae hain
kis ehtimaam se unhein ham yaad aae hain
جھنجھلائے ہیں لجائے ہیں پھر مسکرائے ہیں
کس اہتمام سے انہیں ہم یاد آئے ہیں
झुँझलाए हैं लजाए हैं फिर मुस्कुराए हैं
किस एहतिमाम से उन्हें हम याद आए हैं

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
hairat hai tum ko dekh ke masjid mein ai 'khumaar'
kyaa baat ho gai jo khudaa yaad aa gayaa
mire raahbar mujh ko gumraah kar de
sunaa hai ki manzil qarib aa gai hai
yaad karne pe bhi dost aae na yaad
doston ke karam yaad aate rahe
haal-e-gham kah ke gham baDhaa baiThe
tiir maare the tiir khaa baiThe
duaa ye hai na hon gumraah ham-safar mere
'khumaar' main ne to apnaa safar tamaam kiyaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
ho gae din jinhein bhulaae hue
aaj kal hain vo yaad aae hue
tum se mile to khud se ziyaada
tum ko akelaa paayaa ham ne
kar kuchh aisaa ki tujhe yaad rakhun
bhuul jaane kaa taqaazaa hi sahi
chheDtaa kyuun hai khudaa ke liye sayyaad mujhe
nau-giraftaar huun aati nahin fariyaad mujhe
koi shikva na gham na koi yaad
baiThe baiThe bas aankh bhar aai