Shayari
khudaa kaa Dar na hotaa gar bashar ko
khudaa jaane ye banda kyaa na kartaa
lagaa ke ThaT hai har suunaa muraadi
tamannaa-e-dili nikle kidhar se
لگا کے ٹھٹ ہے ہر سونا مرادی
تمنائے دلی نکلے کدھر سے
लगा के ठट है हर सूना मुरादी
तमन्ना-ए-दिली निकले किधर से

khudaa kaa Dar na hotaa gar bashar ko
khudaa jaane ye banda kyaa na kartaa
visaal-e-yaar se duunaa huaa ishq
maraz baDhtaa gayaa juun juun davaa ki
na taDapne ki ijaazat hai na fariyaad ki hai
ghuT ke mar jaaun ye marzi mire sayyaad ki hai
javaani se ziyaada vaqt-e-piri josh hotaa hai
bhaDaktaa hai charaagh-e-subh jab khaamosh hotaa hai
vo nahaa kar zulf-e-pechaan ko jo bikhraane lage
husn ke dariyaa mein pinhaan saanp lahraane lage
ham na bigDeinge agar chasm-numaai hogi
phir kahin aankh laDaai to laDaai hogi
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
duur ham se hain vo to kyaa Dar hai
paas hai apne aarsi dil ki
jab bhi aql banaati hai pahlaa misraa
dil ko misra-e-saani honaa paDtaa hai
surat chhupaaiye kisi surat-parast se
ham dil mein naqsh aap ki tasvir kar chuke
dil kaun hai ki us se kahein raaz-e-ishq ham
tere khayaal se bhi na ham guftugu karein