Shayari
dariyaa mein vo dhoyaa thaa kabhi dast-e-hinaai
hasrat se vahin panja-e-marjaan mein lagi aag
jahaan se huun yahaan aayaa vahaan jaaungaa aakhir ko
miraa ye haal hai yaaro na mustaqbil na maazi huun
جہاں سے ہوں یہاں آیا وہاں جاؤں گا آخر کو
مرا یہ حال ہے یارو نہ مستقبل نہ ماضی ہوں
जहाँ से हूँ यहाँ आया वहाँ जाऊँगा आख़िर को
मिरा ये हाल है यारो न मुस्तक़बिल न माज़ी हूँ

dariyaa mein vo dhoyaa thaa kabhi dast-e-hinaai
hasrat se vahin panja-e-marjaan mein lagi aag
dekh kar haath mein tasbih gale mein zunnaar
mujh se bezaar hue kaafir o din-daar judaa
agar samjho namaaz-e-zaahid-e-maghrur yaaro
hazaaron baar behtar-tar hamaari be-namaazi hai
ishq-e-khubaan nahin hai aisi shai
baandh kar rakhiye jis ko puDiyaa mein
umr do-chaar roz mehmaan hai
khidmat-e-mehmaan karun na karun
pujtaa huun kabhi but ko kabhi paDhtaa huun namaaz
meraa mazhab koi hindu na musalmaan samjhaa
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
dair-o-haram pukaarne aae hamein magar
lekin khayaal-e-yaar se fursat nahin mili
maston mein phuuT paD gai aate hi yaar ke
laDtaa hai aaj shishe se shisha sharaab kaa
jiteinge na ham se baazi-e-ishq
aghyaar ke piT paDeinge paanse
ziist se tang ho ai 'daagh' to jiite kyuun ho
jaan pyaari bhi nahin jaan se jaate bhi nahin