Shayari
tu ru-ba-ru ho to ai ru-e-yaar tujh se kahein
vo harf-e-gham ki harif-e-gham-e-zamaanaa hai
vo mire saath hai saae ki tarah
dil ki zid hai ki nazar bhi aae
وہ مرے ساتھ ہے سائے کی طرح
دل کی ضد ہے کہ نظر بھی آئے
वो मिरे साथ है साए की तरह
दिल की ज़िद है कि नज़र भी आए

tu ru-ba-ru ho to ai ru-e-yaar tujh se kahein
vo harf-e-gham ki harif-e-gham-e-zamaanaa hai
vo nahin hai na sahi tark-e-tamannaa na karo
dil akelaa hai ise aur akelaa na karo
lafz o manzar mein maaani ko TaTolaa na karo
hosh vaale ho to har baat ko samjhaa na karo
chaand khaamosh jaa rahaa thaa kahin
ham ne bhi us se koi baat na ki
sham-e-shab-taab ek raat jali
jalne vaale tamaam umr jale
jiine vaalon se kaho koi tamannaa DhunDein
ham to aasuda-e-manzil hain hamaaraa kyaa hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'qamar' apne daagh-e-dil ki vo kahaani main ne chheDi
ki sunaa kiye sitaare miraa raat bhar fasaana