Shayari
raushan chehra bhigi zulfein duun kis ko kis par tarjih
ek qasida dhuup kaa likkhun ek ghazal barsaat ke naam
khvaab kaa rishta haqiqat se na joDaa jaae
aaina hai ise patthar se na toDaa jaae
خواب کا رشتہ حقیقت سے نہ جوڑا جائے
آئینہ ہے اسے پتھر سے نہ توڑا جائے
ख़्वाब का रिश्ता हक़ीक़त से न जोड़ा जाए
आईना है इसे पत्थर से न तोड़ा जाए

raushan chehra bhigi zulfein duun kis ko kis par tarjih
ek qasida dhuup kaa likkhun ek ghazal barsaat ke naam
kuchh gham-e-jaanaan kuchh gham-e-dauraan donon meri zaat ke naam
ek ghazal mansub hai us se ek ghazal haalaat ke naam
haal-e-pareshaan sun kar meraa aankh mein us ki aansu hain
main ne us se jhuuT kahaa ho aisaa bhi ho saktaa hai
na khauf-e-barq na khauf-e-sharar lage hai mujhe
khud apne baagh ke phulon se Dar lage hai mujhe
kaash daulat-e-gham hi apne paas bach rahti
vo bhi un ko de baiThe aisi maat khaai hai
dekhoge to har moD pe mil jaaeingi laashein
DhunDoge to is shahr mein qaatil na milegaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
khudaa kaa shukr ki aahaT se khvaab TuuT gayaa
main apne ishq mein naakaam hone vaalaa thaa
uThaa laayaa huun saare khvaab apne
tiri yaadon ke bosida makaan se
main so rahaa huun tire khvaab dekhne ke liye
ye aarzu hai ki aankhon mein raat rah jaae