Shayari
vo mile to be-takalluf na mile to be-iraada
na tariq-e-aashnaai na rusum-e-jaam-o-baadaa
meri vafaaein yaad karoge
rooge fariyaad karoge
میری وفائیں یاد کرو گے
روؤگے فریاد کرو گے
मेरी वफ़ाएँ याद करोगे
रोओगे फ़रियाद करोगे

vo mile to be-takalluf na mile to be-iraada
na tariq-e-aashnaai na rusum-e-jaam-o-baadaa
daavar-e-hashr miraa naama-e-aamaal na dekh
is mein kuchh parda-nashinon ke bhi naam aate hain
jis tarah ham ne raatein kaaTi hain
us tarah ham ne din guzaare hain
hamein bhi dekh ki ham aarzu ke sahraa mein
khile hue hain kisi zakhm-e-aarzu ki tarah
ye Dar hai qaafile vaalo kahin na gum kar de
miraa hi apnaa uThaayaa huaa ghubaar mujhe
rabt hai husn o ishq mein baaham
ek dariyaa ke do kinaare hain
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
aataa rahaa huun yaad main us ko tamaam umr
is zaaviye se ishq mein naakaam kab huaa
vo jo ham mein tum mein qaraar thaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
vahi yaani vaada nibaah kaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
main agar TuuTaa to saaraa shahr bikhregaa 'nabil'
aisaa patthar huun fasil-e-shahr ki buniyaad kaa
bulbul ko baaghbaan se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likkhi thi fasl-e-bahaar mein