Shayari
vo mile to be-takalluf na mile to be-iraada
na tariq-e-aashnaai na rusum-e-jaam-o-baadaa
rabt hai husn o ishq mein baaham
ek dariyaa ke do kinaare hain
ربط ہے حسن و عشق میں باہم
ایک دریا کے دو کنارے ہیں
रब्त है हुस्न ओ इश्क़ में बाहम
एक दरिया के दो किनारे हैं

vo mile to be-takalluf na mile to be-iraada
na tariq-e-aashnaai na rusum-e-jaam-o-baadaa
daavar-e-hashr miraa naama-e-aamaal na dekh
is mein kuchh parda-nashinon ke bhi naam aate hain
jis tarah ham ne raatein kaaTi hain
us tarah ham ne din guzaare hain
meri vafaaein yaad karoge
rooge fariyaad karoge
hamein bhi dekh ki ham aarzu ke sahraa mein
khile hue hain kisi zakhm-e-aarzu ki tarah
ye Dar hai qaafile vaalo kahin na gum kar de
miraa hi apnaa uThaayaa huaa ghubaar mujhe
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tu kuchh to mire zabt-e-mohabbat kaa sila de
hangaam-e-'fanaa' dida-e-pur-nam ki tarah aa
kitni faraakh-dil huun main 'farah'-ji pyaar mein
hairat hai us ki chaah mein kitni niDar hui
aaghaaz to achchhaa thaa 'fanaa' din bhi bhale the
phir raas mujhe ishq kaa anjaam na aayaa