Shayari
vo mile to be-takalluf na mile to be-iraada
na tariq-e-aashnaai na rusum-e-jaam-o-baadaa
hamein bhi dekh ki ham aarzu ke sahraa mein
khile hue hain kisi zakhm-e-aarzu ki tarah
ہمیں بھی دیکھ کہ ہم آرزو کے صحرا میں
کھلے ہوئے ہیں کسی زخم آرزو کی طرح
हमें भी देख कि हम आरज़ू के सहरा में
खिले हुए हैं किसी ज़ख़्म-ए-आरज़ू की तरह

vo mile to be-takalluf na mile to be-iraada
na tariq-e-aashnaai na rusum-e-jaam-o-baadaa
daavar-e-hashr miraa naama-e-aamaal na dekh
is mein kuchh parda-nashinon ke bhi naam aate hain
jis tarah ham ne raatein kaaTi hain
us tarah ham ne din guzaare hain
meri vafaaein yaad karoge
rooge fariyaad karoge
ye Dar hai qaafile vaalo kahin na gum kar de
miraa hi apnaa uThaayaa huaa ghubaar mujhe
rabt hai husn o ishq mein baaham
ek dariyaa ke do kinaare hain
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
aarzu lutf talab ishq saraasar naakaam
mubtalaa zindagi-e-dil inhin auhaam mein hai
mujhe ye Dar hai tiri aarzu na miT jaae
bahut dinon se tabiat miri udaas nahin
vo nahin hai na sahi tark-e-tamannaa na karo
dil akelaa hai ise aur akelaa na karo
khaak mein kis din milaati hai mujhe
us se milne ki tamannaa dekhiye