Shayari
ghiraa huaa huun janam-din se is taaaqub mein
zamin aage hai aur aasmaan mire pichhe
andheri shaam thi baadal baras na paae the
vo mere paas na thaa aur main khul ke royaa thaa
اندھیری شام تھی بادل برس نہ پائے تھے
وہ میرے پاس نہ تھا اور میں کھل کے رویا تھا
अँधेरी शाम थी बादल बरस न पाए थे
वो मेरे पास न था और मैं खुल के रोया था

ghiraa huaa huun janam-din se is taaaqub mein
zamin aage hai aur aasmaan mire pichhe
tiraa paanv shaam pe aa gayaa thaa ki chaand thaa
tiraa hijr subh ko jal uThaa thaa ki phuul thaa
koi zaari suni nahin jaati koi jurm muaaf nahin hotaa
is dharti par is chhat ke tale koi tere khilaaf nahin hotaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ye vasl ki rut hai ki judaai kaa hai mausam
ye gulshan-e-dil hai ki bayaabaan kahin kaa
ye do-dili mein rahaa ghar na ghaaT kaa 'anjum'
buton ko kar na sakaa khush khudaa ko paa na sakaa
ik nazar ne kiyaa hai kaam tamaam
aarzu bhi to thi yahi dil ki
ik shakl hamein phir bhaai hai ik surat dil mein samaai hai
ham aaj bahut sarshaar sahi par aglaa moD judaai hai