Shayari
tu aur gham-e-ulfat 'jazbi' mujh ko to yaqin aae na kabhi
jis qalb pe TuuTe hon patthar us qalb mein nashtar TuuT gae
ai mauj-e-balaa un ko bhi zaraa do chaar thapeDe halke se
kuchh log abhi tak saahil se tufaan kaa nazaara karte hain
اے موج بلا ان کو بھی ذرا دو چار تھپیڑے ہلکے سے
کچھ لوگ ابھی تک ساحل سے طوفاں کا نظارہ کرتے ہیں
ऐ मौज-ए-बला उन को भी ज़रा दो चार थपेड़े हल्के से
कुछ लोग अभी तक साहिल से तूफ़ाँ का नज़ारा करते हैं

tu aur gham-e-ulfat 'jazbi' mujh ko to yaqin aae na kabhi
jis qalb pe TuuTe hon patthar us qalb mein nashtar TuuT gae
na aae maut khudaayaa tabaah-haali mein
ye naam hogaa gham-e-rozgaar sah na sakaa
muskuraa kar Daal di rukh par naqaab
mil gayaa jo kuchh ki milnaa thaa javaab
jab tujh ko tamannaa meri thi tab mujh ko tamannaa teri thi
ab tujh ko tamannaa ghair ki hai to teri tamannaa kaun kare
jab kabhi kisi gul par ik zaraa nikhaar aayaa
kam-nigaah ye samjhe mausam-e-bahaar aayaa
us ne is tarah mohabbat ki nigaahein Daalin
ham se duniyaa kaa koi raaz chhupaayaa na gayaa
jo milaa us ne bevafaai ki
kuchh ajab rang hai zamaane kaa
dil vo kaafir hai ki mujh ko na diyaa chain kabhi
bevafaa tu bhi ise le ke pashemaan hogaa
shaayad kisi ne yaad kiyaa hai hamein 'adaa'
kyon varna ashk maail-e-tufaan hai aaj phir
saahil ke sukun se kise inkaar hai lekin
tufaan se laDne mein mazaa aur hi kuchh hai
tumhein baa-vafaa jaanne ke alaava
mujhe kuchh ghalat-fahmiyaan aur bhi hain
main ek baab thaa afsaana-e-vafaa kaa magar
tumhaari bazm se uTThaa to ik kitaab banaa