Shayari
ik tez raad jaisi sadaa har makaan mein
logon ko un ke ghar mein Daraa denaa chaahiye
aao tum hi karo masihaai
ab bahalti nahin hai tanhaai
آؤ تم ہی کرو مسیحائی
اب بہلتی نہیں ہے تنہائی
aao tum hī karo masīhā.ī
ab bahaltī nahīñ hai tanhā.ī

ik tez raad jaisi sadaa har makaan mein
logon ko un ke ghar mein Daraa denaa chaahiye
sukhan mein sahl nahin jaan nikaal kar rakhnaa
ye zindagi hai hamaari sambhaal kar rakhnaa
shaayad ki khudaa mein aur mujh mein
ik jast kaa aur faasla hai
tum ham-safar hue to hui zindagi aziiz
mujh mein to zindagi kaa koi hausla na thaa
jis ko milnaa nahin phir us se mohabbat kaisi
sochtaa jaaun magar dil mein basaae jaaun
laai hai ab uDaa ke gae mausamon ki baas
barkhaa ki rut kaa qahr hai aur ham hain dosto
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
Tahal rahaa hai ik aansu labon ke paas miraa
bigaaD kuchh nahin sakti hai ab ye pyaas miraa
shaayad nikal hi aae koi chaaragar 'figaar'
ik baar aur dekh sadaa kar ke shahr mein
har ghaDi ik nayaa taqaazaa hai
dard-e-sar ban gayaa badan meraa