Shayari
ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
saadiq se bas ik aan mein ho jaave tu kaazib
dikhlaaun agar tujh ko main us zulf kaa kham subh
صادق سے بس اک آن میں ہو جاوے تو کاذب
دکھلاؤں اگر تجھ کو میں اس زلف کا خم صبح
सादिक़ से बस इक आन में हो जावे तू काज़िब
दिखलाऊँ अगर तुझ को मैं उस ज़ुल्फ़ का ख़म सुब्ह

ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yaan aashiyaan banaayaa vaan aashiyaan banaayaa
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
nahin hai mere muqaddar mein raushni na sahi
ye khiDki kholo zaraa subh ki havaa hi lage
vo zulf-e-mushk-bu bikhri hui thi
khuli chori nasim-e-subh-dam ki
kahnaa kisi kaa subh-e-shab-e-vasl naaz se
hasrat tumhaari jaan hamaari nikal gai
shabaab Dhalte hi aai piiri maaal par ab nazar hui hai
baDi hi ghaflat mein shab guzaari kahaan pahunch kar sahar hui hai
subh-e-kaazib ki havaa mein dard thaa kitnaa 'munir'
rail ki siiTi baji to dil lahu se bhar gayaa
jhuTi baaton ki tajalli nazar aae aise
subh-e-kaazib ki safedi phire daalaanon mein