Shayari
zehn jab fikr ke hisaar mein thaa
dil kahaan apne ikhtiyaar mein thaa
ai amiri agar hai tujh mein dam
kisi darvesh se ulajh kar dekh
اے امیری اگر ہے تجھ میں دم
کسی درویش سے الجھ کر دیکھ
ऐ अमीरी अगर है तुझ में दम
किसी दरवेश से उलझ कर देख

zehn jab fikr ke hisaar mein thaa
dil kahaan apne ikhtiyaar mein thaa
zindagi ko 'azaab hone do
husn ko be-naqaab hone do
raushni saare ghar mein hoti thi
ham ne dekhaa hai laalTain kaa daur
mujh se baatein karo mohabbat ki
taalib-e-'ilm huun main urdu kaa
ek jalte bujhte manzar ke havaale kar diyaa
zindagi tujh ko muqaddar ke havaale kar diyaa
dekhaa mujhe to kahne lage tu ye kis liye
dastak diye baghair mire ghar mein aa gayaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
main jis mein rah na sakaa ji-huzuriyon ke sabab
ye aadmi hai usi kaamyaab mausam kaa