Shayari
sunaa hai vo bhi mire qatl mein mulavvis hai
vo bevafaa hai magar itnaa bevafaa bhi nahin
jab bhi us divaar se miltaa huun ro paDtaa huun main
kuchh na kuchh to hai yaqinan us mein patthar se alag
جب بھی اس دیوار سے ملتا ہوں رو پڑتا ہوں میں
کچھ نہ کچھ تو ہے یقیناً اس میں پتھر سے الگ
जब भी उस दीवार से मिलता हूँ रो पड़ता हूँ मैं
कुछ न कुछ तो है यक़ीनन उस में पत्थर से अलग

sunaa hai vo bhi mire qatl mein mulavvis hai
vo bevafaa hai magar itnaa bevafaa bhi nahin
marne ko mar bhi jaaun koi masala nahin
lekin ye tai to ho ki abhi ji rahaa huun main
use gumaan hai ki meri uDaan kuchh kam hai
mujhe yaqin hai ki ye aasmaan kuchh kam hai
ab un ki khvaab-gaahon mein koi aavaaz mat karnaa
bahut thak-haar kar fōtpath par mazdur soe hain
uThaa laayaa kitaabon se vo ik alfaaz kaa jangal
sunaa hai ab miri khaamoshiyon kaa tarjuma hogaa
tu dariyaa hai to hogaa haan magar itnaa samajh lenaa
tire jaise kai dariyaa miri aankhon mein rahte hain
is liye sab se alag hai miri khushbu 'aami'
mushk-e-mazdur pasine mein liye phirtaa huun
saalgirah par kitni nek tamannaaein mausul huiin
lekin in mein ek mubaarakbaad abhi tak baaqi hai
zindagi naam hai judaai kaa
aap aae to mujh ko yaad aayaa
tujh se duuri aur qayaamat lagti hai
aapas mein do vaqt jo milne lagte hain
shab-e-firaaq kaa chhaayaa huaa hai rob aisaa
bulaa bulaa ke thake ham qazaa nahin aai
hijr ki jang kaa sipaahi huun
laD rahaa huun tire firaaq se main