Shayari
vo jo pahlaa thaa apnaa ishq vahi
aakhiri vaardaat thi dil ki
ek isi baat kaa thaa Dar us ko
mujh mein inkaar ki bhi himmat thi
ایک اسی بات کا تھا ڈر اس کو
مجھ میں انکار کی بھی ہمت تھی
एक इसी बात का था डर उस को
मुझ में इंकार की भी हिम्मत थी

vo jo pahlaa thaa apnaa ishq vahi
aakhiri vaardaat thi dil ki
vo kis kaa hai is se kyaa lenaa denaa
baaz dafa kaafi hai us kaa honaa bhi
chalte chalte aksar ruk kar sochaa bhi
kyaa manzil par yaad rahegaa rastaa bhi
qatl karnaa to is ko Thiik nahin
ishq ki maut haadse mein ho
us ki bechaini baDhaanaa chaahti huun
suniye kah kar chup lagaanaa chaahti huun
thi hausle ki baat zamaane mein zindagi
qadmon kaa faasla bhi yahaan ek jast thaa
nikal ke khuld se un ko mili khilaafat-e-arz
nikaale jaane ki tohmat hamaare sar aai
be-zaar hain jo jazba-e-hubb-ul-vatani se
vo log kisi se bhi mohabbat nahin karte
aql kahti hai na jaa kucha-e-qaatil ki taraf
sarfaroshi ki havas kahti hai chal kyaa hogaa
de hausle ki daad ke ham tere gham mein aaj
baiThe hain mahfilon ko sajaae tire baghair
rah-guzaar-e-maarifat tak ho rasaai yaa na ho
jazba--e-pur-shauq ki vaaraftagi kuchh kam nahin