Shayari
ab ki mumkin hai zamin khuun ki pyaasi na rahe
ik qabile ne meri baat nahin maani hai
alag alag si hai samton kaa ab safar darpesh
tumhaaraa haath mire haath se judaa bhi nahin
الگ الگ سی ہے سمتوں کا اب سفر درپیش
تمہارا ہاتھ مرے ہاتھ سے جدا بھی نہیں
अलग अलग सी है सम्तों का अब सफ़र दरपेश
तुम्हारा हाथ मिरे हाथ से जुदा भी नहीं

ab ki mumkin hai zamin khuun ki pyaasi na rahe
ik qabile ne meri baat nahin maani hai
tishna-lab aisaa ki honTon pe paDe hain chhaale
mutmain aisaa huun dariyaa ko bhi hairaani hai
mujhe bachaa le mire yaar soz-e-imshab se
ki ik sitaara-e-vahshat jabin se guzregaa
shiddat-e-gham se koi gham bhi nahin ho paayaa
jaane vaale tiraa maatam bhi nahin ho paayaa
akelaa-pan hai aur aisaa akelaa-pan jis mein
koi jo puchh le kuchh sab bataane lagte hain
hamaari raat kaa ik vaqt tai hai jis mein ham
tamaam bichhDe huon ko bulaane lagte hain
tai ho chuki hai us se judaai magar 'munir'
tu us ke saath lamha-e-inkaar tak to chal
ye hamaari aap ki duriyaan ye kabhi kabhi ki huzuriyaan
hain ajab tarah ki lagaavTein rah-o-rasm-e-dur-o-daraaz mein
firaaq-e-khuld se gandum hai sina-chaak ab tak
ilaahi ho na vatan se koi gharib judaa
ab judaai ke safar ko mire aasaan karo
tum mujhe khvaab mein aa kar na pareshaan karo
ik tire kahne se meraa kam nahin kirdaar hogaa
ye alag hai baat main teri kahaani mein nahin huun
tiraa main kyaa karun ai dil tujhe kuchh bhi nahin aataa
bichhaDnaa bhi use aataa hai aur milnaa bhi aataa hai