Shayari
yaad tiri jaise ki sar-e-shaam
dhund utar jaae paani mein
vo TuTte hue rishton kaa husn-e-aakhir thaa
ki chup si lag gai donon ko baat karte hue
وہ ٹوٹتے ہوئے رشتوں کا حسن آخر تھا
کہ چپ سی لگ گئی دونوں کو بات کرتے ہوئے
वो टूटते हुए रिश्तों का हुस्न-ए-आख़िर था
कि चुप सी लग गई दोनों को बात करते हुए

yaad tiri jaise ki sar-e-shaam
dhund utar jaae paani mein
thi paanv mein koi zanjir bach gae varna
ram-e-havaa kaa tamaashaa yahaan rahaa hai bahut
koi bhuli hui shai taaq-e-har-manzar pe rakkhi thi
sitaare chhat pe rakkhe the shikan bistar pe rakkhi thi
shaamil huun qaafile mein magar sar mein dhund hai
shaayad hai koi raah judaa bhi mire liye
paiham mauj-e-imkaani mein
aglaa paanv nae paani mein
mohabbatein na rahin us ke dil mein mere liye
magar vo miltaa thaa hans kar ki vaza-daar jo thaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
ek muddat se khamoshi kaa hai pahra har-su
jaane kis or gae shor machaane vaale
chupke se sah rahaa huun sitam tere bevafaa
meri khataa to jab ho ki chuun kar rahaa huun main
arz-e-talab par us ki chup se zaahir hai inkaar magar
shaayad vo kuchh soch rahaa ho aisaa bhi ho saktaa hai
miri fitrat mein bachpan hi se zid hai is liye ab bhi
charaaghon ko havaa ke saamne maddham nahin kartaa
tumhaare khat mein nazar aai itni khaamoshi
ki mujh ko rakhne paDe apne kaan kaaghaz par