Shayari
mai-khaane mein mazaar hamaaraa agar banaa
duniyaa yahi kahegi ki jannat mein ghar banaa
aabaad karein baada-kash allaah kaa ghar aaj
din juma kaa hai band hai mai-khaane kaa dar aaj
آباد کریں بادہ کش اللہ کا گھر آج
دن جمعہ کا ہے بند ہے مے خانہ کا در آج
ābād kareñ bāda-kash allāh kā ghar aaj
din jum.a kā hai band hai mai-ḳhāne kā dar aaj

mai-khaane mein mazaar hamaaraa agar banaa
duniyaa yahi kahegi ki jannat mein ghar banaa
aap aae to khayaal-e-dil-e-naashaad aayaa
aap ne yaad dilaayaa to mujhe yaad aayaa
ghurur bhi jo karun main to aajizi ho jaae
khudi mein lutf vo aae ki be-khudi ho jaae
ham jaante hain lutf-e-taqaazaa-e-mai-farosh
vo naqd mein kahaan jo mazaa hai udhaar mein
baDe paak tinat baDe saaf baatin
'riyaaz' aap ko kuchh hamin jaante hain
aisi hi intizaar mein lazzat agar na ho
to do ghaDi firaaq mein apni basar na ho
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
khushbu-e-hinaa kahnaa narmi-e-sabaa kahnaa
jo zakhm mile tum ko phulon ki qabaa kahnaa
ye mai-kada hai yahaan hain gunaah jaam-ba-dast
vo madrasa hai vo masjid vahaan milegaa savaab
ik tajassus huaa kartaa hai bure kaam se qabl
ek pachhtaavaa bure kaam ke anjaam ke baad
ek aavaaz ne toDi hai khamoshi meri
DhunDhtaa huun to pas-e-saahil-e-shab kuchh bhi nahin