Shayari
duur tak ek khalaa hai so khalaa ke andar
sirf tanhaai ki surat hi nazar aaegi
ik-aadh baar to jaan vaarni hi paDti hai
mohabbatein hon to bantaa nahin bahaana koi
اک آدھ بار تو جاں وارنی ہی پڑتی ہے
محبتیں ہوں تو بنتا نہیں بہانہ کوئی
इक-आध बार तो जाँ वारनी ही पड़ती है
मोहब्बतें हों तो बनता नहीं बहाना कोई

duur tak ek khalaa hai so khalaa ke andar
sirf tanhaai ki surat hi nazar aaegi
us se bichhaD ke ek usi kaa haal nahin main jaan sakaa
vaise khabar to har pal mujh tak duniyaa bhar ki aati rahi
ham itnaa chaahte the ek dusre ko 'zafar'
main us ki aur vo meri misaal ho ke rahaa
apni yaadein us se vaapas maang kar
main ne apne-aap ko yakjaa kiyaa
main aise jamghaTe mein kho gayaa huun
jahaan mere sivaa koi nahin hai
har shakhs bichhaD chukaa hai mujh se
kyaa jaaniye kis ko DhunDhtaa huun
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
hairat se tak rahaa hai jahaan-e-vafaa mujhe
tum ne banaa diyaa hai mohabbat mein kyaa mujhe
aaghaaz-e-mohabbat se anjaam-e-mohabbat tak
''ik aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai''
ishq imaan donon mein tafriq hai
par inhin donon pe meraa imaan hai