Shayari
main bhi apni zaat mein aabaad huun
mere andar bhi qabile hain bahut
chehra chehra gham hai apne manzar mein
aur aankhon ke pichhe ek numaaish hai
چہرہ چہرہ غم ہے اپنے منظر میں
اور آنکھوں کے پیچھے ایک نمائش ہے
चेहरा चेहरा ग़म है अपने मंज़र में
और आँखों के पीछे एक नुमाइश है

main bhi apni zaat mein aabaad huun
mere andar bhi qabile hain bahut
ye vaaqia miri aankhon ke saamne kaa hai
sharaab naach rahi thi gilaas baiThe rahe
chaand mashriq se nikaltaa nahin dekhaa main ne
tujh ko dekhaa hai to tujh saa nahin dekhaa main ne
tum se milne kaa bahaana tak nahin
aur bichhaD jaane ke hiile hain bahut
talab ke raaste par aa gayaa huun
bataao ab mujhe jaanaa kahaan hai
apni aavaaz sunaai nahin deti mujh ko
ek sannaaTaa ki galiyon mein bahut boltaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mujh ko gham kaa na kabhi dard kaa ehsaas rahaa
har khushi paas thi jab tak tu mire paas rahaa
sab log chal rahe the saDak par milaa ke haath
dekhaa jo ghaur se to kisi kaa koi na thaa
ye kyaa hai ki zikr-e-gham-e-ayyaam bahut hai
shishe mein abhi to mai-e-gulfaam bahut hai