Shayari
shaayad vo sang-dil ho kabhi maail-e-karam
surat na de yaqin ki is ehtimaal ko
mere sukhan ki daad bhi us ko hi dijiye
vo jis ki aarzu mujhe shaaer banaa gai
میرے سخن کی داد بھی اس کو ہی دیجئے
وہ جس کی آرزو مجھے شاعر بنا گئی
मेरे सुख़न की दाद भी उस को ही दीजिए
वो जिस की आरज़ू मुझे शाएर बना गई

shaayad vo sang-dil ho kabhi maail-e-karam
surat na de yaqin ki is ehtimaal ko
'sahbaa' saahab dariyaa ho to dariyaa jaisi baat karo
tez havaa se lahar to ik jauhaD mein bhi aa jaati hai
main use samjhun na samjhun dil ko hotaa hai zarur
laala o gul par gumaan ik ajnabi tahrir kaa
tum ne kahaa thaa chup rahnaa so chup ne bhi kyaa kaam kiyaa
chup rahne ki aadat ne kuchh aur hamein badnaam kiyaa
agar shuur na ho to bahisht hai duniyaa
baDe azaab mein guzri hai aagahi ke saath
miri tanhaaiyon ko kaun samjhe
main saaya huun magar khud se judaa huun
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
fareb-e-qurb-e-yaar ho ki hasrat-e-supurdagi
kisi sabab se dil mujhe ye be-qaraar chaahiye
apne kaandhe pe liye phirti hai ehsaas kaa bojh
zindagi kyaa kisi maqtal ki tamannaai hai
shikast-e-‘ahd-e-tamanna ki kyaa shikaayat ho
hamaare khvaab hi ham se gurez-paa nikle
gale se lag zabaan ko chhu koi khvaahish bhi puuri kar
dilaason se kahaan gham ki fazaa tabdil hoti hai