Shayari
khush-numaa lafzon ki rishvat de ke raazi kijiye
ruuh ki tauhin par aamaada rahtaa hai badan
aur to kyaa diyaa bahaaron ne
bas yahi chaar din ki rusvaai
اور تو کیا دیا بہاروں نے
بس یہی چار دن کی رسوائی
और तो क्या दिया बहारों ने
बस यही चार दिन की रुस्वाई

khush-numaa lafzon ki rishvat de ke raazi kijiye
ruuh ki tauhin par aamaada rahtaa hai badan
main gham ko basaa rahaa huun dil mein
be-ghar ko makaan de rahaa huun
ghar mein kuchh kam hai ye ehsaas bhi hotaa hai 'salim'
ye bhi khultaa nahin kis shai ki kami lagti hai
jaane andar kyaa huaa main shor sun kar ai 'salim'
us jagah pahunchaa to dekhaa band vo darvaaza thaa
ik aag si jalti rahi taa-umr lahu mein
ham apne hi ehsaas mein pakte rahe taa-der
jitnaa aankh se kam dekhun
utni duur dikhaai de
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
zabaan-bandi ke mausam mein gali-kuchon ki mat puchho
parindon ke chahakne se shajar aabaad hote hain
kyaa mastiyaan chaman mein hain josh-e-bahaar se
har shaakh-e-gul hai haath mein saaghar liye hue
sahraa jangal saagar parbat
in se hi rasta miltaa hai