Shayari
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
dulhan ki mehndi jaisi hai urdu zabaan ki shakl
khushbu bikhertaa hai ibaarat kaa harf harf
دلہن کی مہندی جیسی ہے اردو زباں کی شکل
خوشبو بکھیرتا ہے عبارت کا حرف حرف
दुल्हन की मेहंदी जैसी है उर्दू ज़बाँ की शक्ल
ख़ुशबू बिखेरता है इबारत का हर्फ़ हर्फ़

hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
sirf kahne ko hai nai duniyaa
vo hi dastur hai vahi duniyaa
hamein qubul nahin chhoTaa munh baDi baatein
misaal bante hain aur phir misaal dete hain
jab bhi kashti bhanvar mein aai hai
ik du'aa bhi asar mein aai hai
koi hayaat ke maani bataa ke samjhaae
tavil kyaa hai bhalaa mukhtasar kaa kyaa matlab
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
kisi ke jaal mein aa kar main apnaa dil ganvaa baiThaa
mujhe thaa ishq qaatil se main apnaa sar kaTaa baiThaa
tujhe siine se lagaa luun tujhe dil mein rakh luun
dard ki chhaanv mein zakhmon ki amaan mein aa jaa
har ek lahza miri dhaDkanon mein chubhti thi
ajiib chiiz mire dil ke aas-paas rahi
shikva sun kar jo mizaaj-e-but-e-bad-khu badlaa
ham ne bhi saath hi taqrir kaa pahlu badlaa