Shayari
kisi ne jaan hi luTaa di vafaaon ki khaatir
tum hi bataao ki qissa ye kis kitaab kaa hai
mire marne kaa gham to be-sabab hogaa ki ab ke baar
mire andar to koi aur paidaa hone vaalaa hai
مرے مرنے کا غم تو بے سبب ہوگا کہ اب کے بار
مرے اندر تو کوئی اور پیدا ہونے والا ہے
मिरे मरने का ग़म तो बे-सबब होगा कि अब के बार
मिरे अंदर तो कोई और पैदा होने वाला है

kisi ne jaan hi luTaa di vafaaon ki khaatir
tum hi bataao ki qissa ye kis kitaab kaa hai
lambi hai bahut aaj ki shab jaagne vaalo
aur yaad mujhe koi kahaani bhi nahin hai
vo bhi na aayaa umr-e-guzishta ke misl hi
ham bhi khaDe rahe dar-o-divaar ki tarah
tiri duaaein bhi shaamil hain koshishon mein miri
musibaton kaa na Talnaa ajiib lagtaa hai
siyaah raat ke pahlu mein jism ke andar
kisi gunaah ki khvaahish ko paalte rahnaa
ham kisi aur vaqt ke hain asiir
subh ke shaam ke rahe hi nahin
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kabhi dekhaa hi nahin us ne pareshaan mujh ko
main ki rahtaa huun sadaa apni nigahbaani mein
dard ne dil ki parvarish ki hai
dard hi sher se adaa hogaa
paayaa jab se zakhm kisi ko khone kaa
sikhaa fan ham ne be-aansu rone kaa