Shayari
kisi ne jaan hi luTaa di vafaaon ki khaatir
tum hi bataao ki qissa ye kis kitaab kaa hai
tiri duaaein bhi shaamil hain koshishon mein miri
musibaton kaa na Talnaa ajiib lagtaa hai
تری دعائیں بھی شامل ہیں کوششوں میں مری
مصیبتوں کا نہ ٹلنا عجیب لگتا ہے
तिरी दुआएँ भी शामिल हैं कोशिशों में मिरी
मुसीबतों का न टलना अजीब लगता है

kisi ne jaan hi luTaa di vafaaon ki khaatir
tum hi bataao ki qissa ye kis kitaab kaa hai
lambi hai bahut aaj ki shab jaagne vaalo
aur yaad mujhe koi kahaani bhi nahin hai
vo bhi na aayaa umr-e-guzishta ke misl hi
ham bhi khaDe rahe dar-o-divaar ki tarah
siyaah raat ke pahlu mein jism ke andar
kisi gunaah ki khvaahish ko paalte rahnaa
milte ho to ab tum bhi bahut rahte ho khaamosh
kyaa tum ko bhi ab meri khabar hone lagi hai
ham kisi aur vaqt ke hain asiir
subh ke shaam ke rahe hi nahin
asar duaaon mein hotaa hai kis qadar 'maaruf'
balaaein dekhi hain ham ne saron se Talte hue
kisi ne chuum ke aankhon ko ye duaa di thi
zamin teri khudaa motiyon se nam kar de
bahut hi kam ko mili hain mohabbatein 'jaanif'
ziyaada-tar ko to mahbub ne du'aa di hai
zavaal-e-asr hai kuufe mein aur gadaagar hain
khulaa nahin koi dar baab-e-iltijaa ke sivaa
muddaaa duur tak gayaa lekin
aarzu lauT kar nahin aai
har-dam yahi duaa hai khudaa ki janaab mein
aa jaae yaar khud mire khat ke javaab mein