Shayari
kitaab-e-ishq mein saae kaa matlab
dar-o-divaar kaa saaya nahin hai
bahut Dartaa thaa rone se
so ban kar muttaqi royaa
بہت ڈرتا تھا رونے سے
سو بن کر متقی رویا
बहुत डरता था रोने से
सो बन कर मुत्तक़ी रोया

kitaab-e-ishq mein saae kaa matlab
dar-o-divaar kaa saaya nahin hai
kabhi ye gham thaa ki samjhaa nahin koi ham ko
aur ab ye Dar ki kisi ne samajh liyaa hi na ho
judaai se ziyaada jaan-levaa
mohabbat mein mohabbat ki kami hai
husn aisaa thaa ki har ik aainaa kam paD gayaa
aaina kyaa umr bhar kaa dekhnaa kam paD gayaa
ye jahaan ek tamaashaa hai sabhi kahte hain
tum na hote to ise ham bhi tamaashaa kahte
dard thaa haijaan thaa par aankh mein aansu na the
jaise dil tak aate aate haadisa kam paD gayaa
commission par commission khaa rahe hain desh ke leader
vo bandar-baanT sarkaari jo pahle thi so ab bhi hai
isi khanDar mein mire khvaab ki gali bhi thi
gali mein peD bhi thaa peD par samar bhi thaa
aasmaan aisaa bhi kyaa khatra thaa dil ki aag se
itni baarish ek shole ko bujhaane ke liye
us imaarat ko giraa do jo nazar aati hai
mire andar jo khanDar hai use taamir karo
ham aur chaah ghair ki allaah se Daro
milte hain tum se bhi to tumhaari khushi se ham
saaqi-e-gulfaam ne rakkhi to hai bhar kar sharaab
Dar hai uD jaae na shishe se pari ban kar sharaab