Shayari
bujhaaun kyaa charaagh-e-subh-gaahi
mire ghar shaam honi hai sahar se
ham aur chaah ghair ki allaah se Daro
milte hain tum se bhi to tumhaari khushi se ham
ہم اور چاہ غیر کی اللہ سے ڈرو
ملتے ہیں تم سے بھی تو تمہاری خوشی سے ہم
हम और चाह ग़ैर की अल्लाह से डरो
मिलते हैं तुम से भी तो तुम्हारी ख़ुशी से हम

bujhaaun kyaa charaagh-e-subh-gaahi
mire ghar shaam honi hai sahar se
chaahat kaa jab mazaa hai ki vo bhi hon be-qaraar
donon taraf ho aag baraabar lagi hui
shirkat gunaah mein bhi rahe kuchh savaab ki
tauba ke saath toDiye botal sharaab ki
kuchh to hote hain mohabbat mein junun ke aasaar
aur kuchh log bhi divaana banaa dete hain
samjheinge na aghyaar ko aghyaar kahaan tak
kab tak vo mohabbat ko mohabbat na kaheinge
ishq kyaa shai hai husn hai kyaa chiiz
kuchh idhar ki hai kuchh udhar ki aag
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
nahin nahin main bahut khush rahaa huun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
lahja ki jaise subh ki khushbu azaan de
ji chaahtaa hai main tiri aavaaz chuum luun
in aablon se paanv ke ghabraa gayaa thaa main
ji khush huaa hai raah ko pur-khaar dekh kar
jaane kyuun un se milte rahte hain
khush vo kyaa honge jab khafaa hi nahin
hamein shikva nahin ik dusre se
manaanaa chaahiye is par khushi kyaa