Shayari
bal paDe chitvan pe abru tan ke khanjar ho gae
zikr-e-vasl aate hi vo jaame se baahar ho gae
aabla-paai hamaari rang laai dasht mein
khaar-e-sahraa tishna-e-khun ho ke nashtar ho gae
آبلہ پائی ہماری رنگ لائی دشت میں
خار صحرا تشنۂ خوں ہو کے نشتر ہو گئے
आबला-पाई हमारी रंग लाई दश्त में
ख़ार-ए-सहरा तिश्ना-ए-ख़ूँ हो के नश्तर हो गए

bal paDe chitvan pe abru tan ke khanjar ho gae
zikr-e-vasl aate hi vo jaame se baahar ho gae
ro diye fariyaad par meri butaan-e-sang-dil
mere naalon se pighal kar mom patthar ho gae
nigah-e-lutf mein hai uqda-kushaai muzmar
kaam bigDe hue bandon ke sanvar jaate hain
chuum kar aayaa hai ye dast-e-hinaai aap kaa
kyuun na rakkhun main kaleje se lagaa kar tiir ko
baaton mein DhunDte hain vo pahlu malaal kaa
matlab ye hai ki zikr na aae visaal kaa
ik bahaana chaahiye un ko bigaDne ke liye
main ne zulfon ki balaaein liin mire sar ho gae
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein