Shayari
aah ye chaara-saaziyaan haae ye be-niyaaziyaan
sab se nazar mili hui sab se magar alag alag
kisi paaband-e-gham ki zindagi kyaa
kabhi naale kabhi fariyaad karnaa
کسی پابند غم کی زندگی کیا
کبھی نالے کبھی فریاد کرنا
किसी पाबंद-ए-ग़म की ज़िंदगी क्या
कभी नाले कभी फ़रियाद करना

aah ye chaara-saaziyaan haae ye be-niyaaziyaan
sab se nazar mili hui sab se magar alag alag
pahle siite hain ham garebaan ko
phir use taar taar karte hain
hazaaron paikar-e-ummid nazron se hue ojhal
jo kuchh baaqi rahe the vo bhi pinhaan hote jaate hain
tiraa kucha bahut achchhaa hai lekin
mire rahne ki gunjaaish kahaan hai
aish-e-duniyaa se khush na ho koi
ham ne dekhe hain aise khvaab bahut
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
us gali mein hazaar gham TuuTaa
aanaa jaanaa magar nahin chhuTaa
jaantaa huun ek aise shakhs ko main bhi 'munir'
gham se patthar ho gayaa lekin kabhi royaa nahin
tanhaa ujaaD burjon mein phirtaa hai tu 'munir'
vo zar-fishaaniyaan tire rukh ki kidhar gaiin