Shayari
dil bayaaz-e-umr ki auraaq-gardaani mein hai
kyaa khabar hai kaun saa safha khulaa rah jaaegaa
kyaa ye sach hai ki khizaan mein bhi chaman khilte hain
mere daaman mein lahu hai to mahaktaa kyaa hai
کیا یہ سچ ہے کہ خزاں میں بھی چمن کھلتے ہیں
میرے دامن میں لہو ہے تو مہکتا کیا ہے
क्या ये सच है कि ख़िज़ाँ में भी चमन खिलते हैं
मेरे दामन में लहू है तो महकता क्या है

dil bayaaz-e-umr ki auraaq-gardaani mein hai
kyaa khabar hai kaun saa safha khulaa rah jaaegaa
kaun se dukh ko palle baandhein kis gham ko tahrir karein
yaan to dard sivaa hotaa hai aur bhi arz-e-haal ke baad
jo bhi narmi hai khayaalon mein na hone se hai
khvaab aankhon se nikal jaaein to patthar ho jaaein
dukh jhelo to ji kaDaa hi rakhnaa
dil hai to hisaab-e-dostaan hai
paanv mein lipTi hui hai sab ke zanjir-e-anaa
sab musaafir hain yahaan lekin safar mein kaun hai
achchhaa hai ki sirf ishq kiije
ye umr to yuun bhi raaegaan hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
vahaan salaam ko aati hai nange paanv bahaar
khile the phuul jahaan tere muskuraane se
ashaar mere sun ke vo khaamosh ho gayaa
ghunche ba-rang-e-gul hama-tan gosh ho gayaa