Shayari
baad-e-tark-e-aarzu baiThaa huun kaisaa mutmain
ho gai aasaan har ik mushkil ba-aasaani miri
dil ke taalib nazar aate hain hasin har jaanib
us ke laakhon hain kharidaar ki maal achchhaa hai
دل کے طالب نظر آتے ہیں حسیں ہر جانب
اس کے لاکھوں ہیں خریدار کہ مال اچھا ہے
दिल के तालिब नज़र आते हैं हसीं हर जानिब
उस के लाखों हैं ख़रीदार कि माल अच्छा है

baad-e-tark-e-aarzu baiThaa huun kaisaa mutmain
ho gai aasaan har ik mushkil ba-aasaani miri
buraa ho ulfat-e-khubaan kaa ham-nashin ham to
shabaab hi mein buraa apnaa haal kar baiThe
uThaane ke qaabil hain sab naaz tere
magar ham kahaan naaz uThaane ke qaabil
fikr-e-maaash o ishq-e-butaan yaad-e-raftagaan
in mushkilon se ahd-baraai na ho saki
ba-zaahir garm hai baazaar-e-ulfat
magar jins-e-vafaa kam ho gai hai
gadaa nahin hain ki dast-e-savaal phailaaein
kabhi na aap ne puchhaa ki aarzu kyaa hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
guzishta kuchh dinon se jaane kis uljhaao mein hai dil
ki ham baiThe bhi rahte hain ghazal-khvaani nahin hoti
ek hansti hui badli dekhi
ek jaltaa huaa ghar yaad aayaa
dil ko to bahut pahle se dhaDkaa saa lagaa thaa
paanaa tiraa shaayad tujhe khone ke liye hai