Shayari
baad-e-tark-e-aarzu baiThaa huun kaisaa mutmain
ho gai aasaan har ik mushkil ba-aasaani miri
hai ye pur-dard daastaan 'mahrum'
kyaa sunaaein kisi ko haal apnaa
ہے یہ پر درد داستاں محرومؔ
کیا سنائیں کسی کو حال اپنا
है ये पुर-दर्द दास्ताँ 'महरूम'
क्या सुनाएँ किसी को हाल अपना

baad-e-tark-e-aarzu baiThaa huun kaisaa mutmain
ho gai aasaan har ik mushkil ba-aasaani miri
buraa ho ulfat-e-khubaan kaa ham-nashin ham to
shabaab hi mein buraa apnaa haal kar baiThe
uThaane ke qaabil hain sab naaz tere
magar ham kahaan naaz uThaane ke qaabil
fikr-e-maaash o ishq-e-butaan yaad-e-raftagaan
in mushkilon se ahd-baraai na ho saki
ba-zaahir garm hai baazaar-e-ulfat
magar jins-e-vafaa kam ho gai hai
gadaa nahin hain ki dast-e-savaal phailaaein
kabhi na aap ne puchhaa ki aarzu kyaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
ye saal tul-e-masaafat se chuur chuur gayaa
ye ek saal to guzraa hai ik sadi ki tarah
dard mein lazzat bahut ashkon mein raanaai bahut
ai gham-e-hasti hamein duniyaa pasand aai bahut