Shayari
tumhaare chehre ki saari nasein tani hui hain
tumhaare haath mein kyaa aaina diyaa gayaa hai
nishaan kyon DhunDhte ho ungliyon ke
qazaa aai thi dastaane pahan kar
نشاں کیوں ڈھونڈھتے ہو انگلیوں کے
قضا آئی تھی دستانے پہن کر
निशाँ क्यों ढूँढते हो उँगलियों के
क़ज़ा आई थी दस्ताने पहन कर

tumhaare chehre ki saari nasein tani hui hain
tumhaare haath mein kyaa aaina diyaa gayaa hai
koi bashar kabhi paani banaa nahin saktaa
khudaa ke hone kaa pahlaa subut paani hai
didaar ke sikke jo zaraa bhikh mein maange
to us ne kahaa jaao jumeraat ko aanaa
neze ki nok teraa tah-e-dil se shukriya
ab tak giraa nahin hai miraa sar zamin par
ghazlon ke she'r likhne se pahle hazaar baar
ham dekhte hain aap ki tasvir ki taraf
ghamon par us ke kabhi e'tibaar mat karnaa
vo pyaaz kaaT ke aansu nikaal letaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kaanTe se bhi nichoD li ghairon ne bu-e-gul
yaaron ne bu-e-gul se bhi kaanTaa banaa diyaa
dil par pahan liyaa hai vo gajre ke jaisaa shakhs
lekin gale kaa haar nahin kar rahaa huun main
charaag chaand shafaq shaam phuul jhiil sabaa
churaain sab ne hi kuchh kuchh shabaahatein teri