Shayari
na tumhein hosh rahe aur na mujhe hosh rahe
is qadar TuuT ke chaaho mujhe paagal kar do
muddaton us ki khvaahish se chalte rahe haath aataa nahin
chaah mein us ki pairon mein hain aable chaand ko kyaa khabar
مدتوں اس کی خواہش سے چلتے رہے ہاتھ آتا نہیں
چاہ میں اس کی پیروں میں ہیں آبلے چاند کو کیا خبر
मुद्दतों उस की ख़्वाहिश से चलते रहे हाथ आता नहीं
चाह में उस की पैरों में हैं आबले चाँद को क्या ख़बर

na tumhein hosh rahe aur na mujhe hosh rahe
is qadar TuuT ke chaaho mujhe paagal kar do
tumhaaraa naam likhne ki ijaazat chhin gai jab se
koi bhi lafz likhtaa huun to aankhein bhiig jaati hain
jo tu nahin hai to ye mukammal na ho sakeingi
tiri yahi ahmiyat hai meri kahaaniyon mein
is judaai mein tum andar se bikhar jaaoge
kisi maazur ko dekhoge to yaad aaungaa
kaun kahtaa hai mulaaqaat miri aaj ki hai
tu miri ruuh ke andar hai kai sadiyon se
zindagi ab ke miraa naam na shaamil karnaa
gar ye tai hai ki yahi khel dobaara hogaa
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
unhin ki hasrat-e-rafta ki yaadgaar huun main
jo log rah gae tanhaa bhari bahaaron mein
kuchh itne diye hasrat-e-didaar ne dhoke
vo saamne baiThe hain yaqin ham ko nahin hai
tum to sirf ik diid ki hasrat pe barham ho gae
kam se kam puuri to sunte daastaan-e-aarzu
aarzu lutf talab ishq saraasar naakaam
mubtalaa zindagi-e-dil inhin auhaam mein hai
un ki hasrat bhi nahin main bhi nahin dil bhi nahin
ab to 'bekhud' hai ye aalam miri tanhaai kaa