Shayari
na jaane ham se gila kyuun hai tishna-kaamon ko
hamaare haath mein mai thi na daur-e-saaghar thaa
dard to zakhm ki paTTi ke haTaane se uThaa
aur kuchh aur bhi marham ke lagaane se uThaa
درد تو زخم کی پٹی کے ہٹانے سے اٹھا
اور کچھ اور بھی مرہم کے لگانے سے اٹھا
दर्द तो ज़ख़्म की पट्टी के हटाने से उठा
और कुछ और भी मरहम के लगाने से उठा

na jaane ham se gila kyuun hai tishna-kaamon ko
hamaare haath mein mai thi na daur-e-saaghar thaa
itne chehron mein mujhe hai ek chehre ki talaash
jis ko main ne kho ke paayaa paa ke khoyaa subh tak
jaise jaise aagahi baDhti gai vaise 'zahir'
zehn o dil ik dusre se munfasil hote gae
zarre zarre mein bikhar jaanaa hai takmil-e-hayaat
mujh ko ye zebaa nahin ab zaat mein simTaa rahun
us ke alfaaz-e-tasalli ne rulaayaa mujh ko
kuchh ziyaada hi dhuaan aag bujhaane se uThaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
qulqul-e-minaa sadaa naaqus ki shor-e-azaan
ThanDe ThanDe didani hai garmi-e-baazaar-e-subh
aao tum hi karo masihaai
ab bahalti nahin hai tanhaai
faaeda kyaa soch aakhir tu bhi daanaa hai 'asad'
dosti naadaan ki hai ji kaa ziyaan ho jaaegaa