SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAsad Badayuni(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jalva-saamaan rukh-e-jaanaan na huaa thaa so huaa zarra zarra mah-e-taabaan na huaa thaa so huaa kuchh to pahle se hi afsurda the ahl-e-gulshan kuchh ye gham khun-e-bahaaraan na huaa thaa so huaa main ne dekhaa hai tiri kam-nigahi kaa anjaam aashnaa-e-gham-e-dauraan na huaa thaa so huaa ye inaayat ye tiraa jud-o-karam hai ki mujhe shikva-e-tangi-e-daamaan na huaa thaa so huaa allaah allaah mai-o-minaa kaa asar bhi kyaa hai kuchh ilaaj-e-gham-e-dauraan na huaa thaa so huaa ye tire sher tiraa husn-e-taghazzul 'asad' tire sheron se jo shaadaan na huaa thaa so huaa"
Asad BadayuniAsad Badayuni
Quote
"shoala-e-tanhaai se sab baam-o-dar jal jaaeinge chand din ki baat hai buDhe khanDar jal jaaeinge ek din is dasht par suraj kaa dil aa jaaegaa ek din is dasht ke saare shajar jal jaaeinge jaaegaa azm-e-safar manzil pe tanhaa dosto raah ki garmi se sab ahl-e-safar jal jaaeinge sun rahaa huun jald hi barseinge sang-e-aaftaab aur mere shahr mein jitne hain ghar jal jaaeinge khaak rah jaaegi ik muTThi haqiqat ki faqat saare afsaane tavil-o-mukhtasar jal jaaeinge mujh ko kyon detaa hai tu unchi uDaanon ki sazaa dhuup kaa mausam hai zaalim mere par jal jaaeinge aag har lamha taaaqub kar rahi hai aap kaa aap 'asad' laakh rahiye baa-khabar jal jaaeinge"
Asad BadayuniAsad Badayuni
Quote
"mire shajar tujhe mausam nayaa banaate rahein gulaab-e-sabr tiri Tahniyon pe aate rahein jo doston ki kamaanon ko tiir detaa hai hamein ye zarf bhi bakhshe ki zakhm khaate rahein bas ik charaagh hai apni mata-e-besh-bahaa so shaam aati rahe ham use jalaate rahein sahar ke rang darichon ko sair karte jaaein havaa ke jhonke khule aanganon mein aate rahein kabhi kabhi koi suraj tulu hotaa rahe ridaa-e-abr mein taare bhi munh chhupaate rahein fasil-e-shahr-e-anaa rafta rafta girti jaae ye zalzale miri jaan mein hamesha aate rahein"
Asad BadayuniAsad Badayuni
Quote
"ishq mein hijr ke sadme bhi uThaae nahin hain apni marzi se to ham dasht mein aae nahin hain apnaa kaasa bhi tahi apnaa kadu bhi khaali daagh-e-didaar-o-havas dil pe lagaae nahin hain ham se maayus na ho sham-e-shabistaan-e-khayaal ham abhi khaak ke siine mein samaae nahin hain ab kisi samt se khushbu nahin aati ham tak kaaghzi phuul bhi taaqon mein sajaae nahin hain ik dukaan khol ke baazaar kaa rukh dekhnaa hai abhi aaiin tijaarat ke banaae nahin hain hurmat-e-harf ki tafsir banaane vaalo ham kisi aur sitaare se to aae nahin hain"
Asad BadayuniAsad Badayuni
Quote
"suraj ki tarah qariya-e-mahtaab mein aayaa raat ek ajab shakhs mire khvaab mein aayaa kyaa lahr thi jo mujh ko lagaa aai kinaare kis mauj se phir halqa-e-girdaab mein aayaa ye shahr to sahraaon ki sarhad pe basaa thaa kaise ye kharaaba kaf-e-sailaab mein aayaa ik yaad se raushan hue divaar-o-dar-o-baam kham ek nai tarah kaa mehraab mein aayaa pahle to dhanak-rang mein Duubaa ufuq-e-jaan phir manzar-e-hijraan bhi tab-o-taab mein aayaa ik shakhs ki yaktaa thaa darida-dahni mein zikr us kaa magar pyaar se ahbaab mein aayaa"
Asad BadayuniAsad Badayuni
Quote
"shab-e-siyaah se jo istifaada karte hain vahi charaaghon kaa maatam ziyaada karte hain dilon kaa dard kahaan jaam mein utartaa hai harif-e-vaqt ko ham gharq-e-baada karte hain puraani talkhiyaan daaman bahut pakaDti hain kabhi nayaa jo koi ham iraada karte hain paDi thi dil ki zamin jaane kab se be-masraf ab us mein yaadon ke but istaada karte hain ajiib daur hai ye jis mein saare daanish-var dilon ko tang makaan ko kushaada karte hain ye aasmaan-e-vatan kyuun ridaa hamaari hai ham is zamin ko kaise labaada karte hain"
Asad BadayuniAsad Badayuni
Quote
"mausam-e-hijr to daaim hai na rukhsat hogaa ek hi lamhe ko ho vasl ghanimat hogaa meraa dil aakhiri taare ki tarah hai goyaa Dubnaa us kaa nae din ki bashaarat hogaa ab ke hangaama nai tarah huaa hai aaghaaz shahr bhi ab ke nae taur se ghaarat hogaa shaakh se TuuT ke patte ne ye dil mein sochaa kaun is tarah bhalaa maail-e-hijrat hogaa dil se duniyaa kaa jo rishta hai ajab rishta hai ham jo TuuTe hain to kab shahr salaamat hogaa baadbaanon se havaa lag ke gale roti hai ye safina bhi kisi mauj ki qismat hogaa"
Asad BadayuniAsad Badayuni
Quote
"safar bhi koi na ho rahguzar bhi koi na ho hamaare baad kharaab is qadar bhi koi na ho sab us hujum mein gum honaa chaahte hain jahaan pataa-Thikaana bhi khair-o-khabar bhi koi na ho khudaa vo din na dikhaae ki in dayaaron mein sab aankhein rakhte huun aur dida-var bhi koi na ho zamaana kaash na aae ki phuul phal ke baghair faqat gharon kaa ho jangal shajar bhi koi na ho zamin na bain kare mehrbaan maan ki tarah karo kuchh aisaa kisi kaa zarar bhi koi na ho phir us jahaan mein kaise rahein kahaan jaaein vatan bhi koi na ho aur ghar bhi koi na ho hamein zamin pe utaaraa gayaa zavaal ke vaqt yahi bajaa hai to phir nauhagar bhi koi na ho"
Asad BadayuniAsad Badayuni
Quote
"dilon par khauf bhi taari bahut hai magar jangon ki tayyaari bahut hai khirad ki bastiyon ke phunkne ko junun ki ek chingaari bahut hai sabhi zad mein hain dasht-o-koh-o-insaan ye zarb-e-vaqt hai kaari bahut hai puraanaa khushk pattaa kah rahaa thaa havaa mein tez-raftaari bahut hai ham apne dil ki duniyaa dekhte hain hamein ye shaghl-e-bekaari bahut hai chale ho us se milne par ye sun lo use shauq-e-dil-aazaari bahut hai nahin hai saath rahnaa garche aasaan bichhaDne mein bhi dushvaari bahut hai"
Asad BadayuniAsad Badayuni
Quote
"puraane ghar se nikal kar nae makaan ki samt bahut se log gae ik 'ajab jahaan ki samt pukaartaa hai jo sadiyon se ham ko ai yaaro chalo chale chalein us TuuTe saaebaan ki samt jo ek 'umr se rahtaa thaa barf-zaaron mein chalaa hai kis liye jalti hui chaTaan ki samt milaa thaa raah mein baiThaa jo ek din ham ko sunaa hai jaa chukaa vo shakhs aasmaan ki samt miraa jahaaz jo pahunchegaa us jazire mein na koi ghaur se dekhegaa baadbaan ki samt kabhi jo sochaa hai haq baat kah duun ai 'asad' baDhi hain qainchiyaan kitni miri zabaan ki samt"
Asad BadayuniAsad Badayuni
Quote
"meri nafrat bhi hai sheron mein mire pyaar ke saath main ne likkhi hai ghazal jurat-e-izhaar ke saath eqtidaar ek taraf ek taraf darveshi donon chizein nahin rah sakti hain fankaar ke saath ik khalaa dil mein bahut din se makin hai ab to yaad guzraa huaa mausam bhi nahin yaar ke saath baadbaanon se ulajhti hai havaa roz magar kashtiyaan soi hain kis shaan se patvaar ke saath shahr mein jahl ki arzaani hai lekin ab tak main hi samjhauta nahin kartaa huun meaar ke saath mere ashaar hain naaqid ke liye kuchh bhi nahin dard ko main nahin likhtaa kabhi dushvaar ke saath"
Asad BadayuniAsad Badayuni
Quote
"jise na meri udaasi kaa kuchh khayaal aayaa main us ke husn pe ik roz khaak Daal aayaa ye ishq khuub rahaa baavajud milne ke na darmiyaan kabhi lamha-e-visaal aayaa ishaara karne lage hain bhanvar ke haath hamein khoshaa ki phir dil-dariyaa mein ishtiaal aayaa muravvaton ke samar daaghdaar hone lage mohabbaton ke shajar tujh pe kyaa zavaal aayaa hasin shakl ko dekhaa khudaa ko yaad kiyaa kisi gunaah kaa dil mein kahaan khayaal aayaa khudaa bachaae tasavvuf-gazida logon se koi jo sher bhalaa sun liyaa to haal aayaa"
Asad BadayuniAsad Badayuni
Quote
"jis ko honaa hai vo in aankhon se ojhal ho jaae us se pahle ki miraa kaam mukammal ho jaae main to bas dekhtaa rahtaa huun zaminon ke kaTaao aadmi sochne vaalaa ho to paagal ho jaae kahin aisaa na ho viraane hon phir se aabaad kahin aisaa na ho har shahr hi jangal ho jaae ye zamin jis pe hai gulzaaron ki taadaad bahut ye bhi ho saktaa hai kal ko vahi maqtal ho jaae reg-zaaron se bukhaaraat hi uThte hain magar kaun jaane ki ye garmi koi baadal ho jaae meraa pindaar hi divaar hai naakaami ki ye jo gir jaae to har khvaab mukammal ho jaae"
Asad BadayuniAsad Badayuni