SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byImdad Akash(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ahd-e-junun mein arsa-e-vahshat guzaarnaa jaise shab-e-visaal mein furqat guzaarnaa jaanaa suraagh-e-jauhar-e-takhliq DhunDne aur us ke baad aalam-e-hairat guzaarnaa karnaa hayaat pahlu-e-aivaan-e-dard mein rozaana ek roz-e-qayaamat guzaarnaa ab tak to hai uruus badan ke nasib mein zulfon pe khaak Daalnaa iddat guzaarnaa jivan sazaa-e-maut se pahle kaa khel hai sab ko hai ye mili hui mohlat guzaarnaa 'aakaash' daur-e-jabr-o-mashaqqat hai chaar din phir taa-abad sukun ki haalat guzaarnaa"
Imdad AkashImdad Akash
Quote
"ne aadmi pasand na is ko khudaa pasand hai aaine mein qaid miraa aainaa-pasand do-chaar din bhi ham se nibaahi nahin gai vo mo'tadil mizaaj thaa main intihaa pasand vo khud-fareb shakhs thaa patthar-shanaas thaa aayaa na us ko koi bhi apne sivaa pasand puchhe hai ham ne kaahe kiyaa kufr ikhtiyaar ghaflat pasand hai na hamein aasraa pasand ghaughaa-e-marg chaaron taraf phailne lagaa kyaa is jahaan ko chhoD gae baadiya-pasand us par hi bhejtaa hai vo aafat bhi maut bhi shaayad use gharib kaa bachcha hai naa-pasand aakaash ek shakhs hai duniyaa se mukhtalif pahli nazar mein hi tumhein aa jaaegaa pasand"
Imdad AkashImdad Akash
Quote
"nai aadmi pasand na us ko khudaa pasand hai aaine mein qaid miraa aaina pasand vo chaar din bhi ham se nibaahi nahin gai vo moatadil-mizaaj thaa main intihaa-pasand vo khud-fareb shakhs thaa patthar shanaas thaa aayaa na us ko koi bhi apne sivaa pasand jab koi farq shaahid-o-mashhud mein nahin kaise kare kisi ko koi dusraa pasand puchhe hai ham ne kaahe kiyaa kufr ikhtiyaar ghaflat pasand hai na hamein aasraa pasand kholi hai jab se aankh kabhi so nahin sake kyunki hamein hai khvaab mein bhi jaagnaa pasand main bhi ye barg-e-sabz bhi maahi bhi murgh bhi baandhe hue hain maut ne saare havaa pasand khaarij ki baat aankh se aage ki thi magar sab qaidiyon ko rauzan-e-divaar thaa pasand 'aakaash' ek shakhs hai auron se mukhtalif pahli nazar mein hi tumhein aa jaaegaa pasand"
Imdad AkashImdad Akash
Quote
"kahin jangal ugaate hain kahin aahu banaate hain musavvir hain tire pahlu ko sad pahlu banaate hain bhalaa kyaa qatl par apne raqibon se gila ki vo miraa naafaa judaa kar ke tiri khushbu banaate hain tahammul siikh ham se guftugu kar narm lahje mein ki sab tere ravayye hi ko apni khu banaate hain kahin koi sitaara chhoDte hain be-karaani mein kabhi andher nagri mein koi jugnu banaate hain adu kaise sitamgar hain mujhe taskhir karne ko tiri tasvir ke uupar mire baazu banaate hain hamein to khvaab mein bhi zulf suljhaane ki aadat hai magar vo log jo uljhe hue gesu banaate hain tire kaabe se kuchh imaan vaalon ko gharaz hogi ki ham kaafir to but-khaana bhi qibla-ru banaate hain ham aise kushtagaan-e-khaak hi 'aakaash' sahraa mein sabaa ko apne dil ki dhonkni se lau banaate hain"
Imdad AkashImdad Akash
Quote
"tire banaae ko baar-e-digar banaate hue main thak gayaa huun darichon ko dar banaate hue tujhe khabar nahin guzre kis imtihaan se ham tiri shabih tujhe dekh kar banaate hue pas-e-hayaat dikhaate ho ik nai duniyaa lagegi der idhar ko udhar banaate hue kabhi zamin pe kitni zamin hoti thi vo sochtaa hai samundar mein ghar banaate hue ai dar-e-khaam zaraa dekh kaisi pathraai miri nigaah tujhe beshtar banaate hue zamin chiir gai aasmaan pe haavi hui ye meri aankh nazar ko nazar banaate hue mukaalme mein zabaan laDkhaDaane lagti hai pa-e-darogh agar ko magar banaate hue khudaa ke but pe ye qasdan nahin miraa chehra bahak gayaa thaa zaraa haath sar banaate hue vo naqsh-gar thaa parindon kaa aur phir ik din havaa nashin huaa baal-o-par banaate hue"
Imdad AkashImdad Akash
Quote
"gardish-e-dasht-e-tamannaa se milaa kuchh bhi nahin ghalghala hone kaa sunte the huaa kuchh bhi nahin har haqiqat vaahima hai vaahima kuchh bhi nahin dekhne mein sab khudaa hai aur khudaa kuchh bhi nahin jazba-e-taamir mein ik khvaahish-e-takhrib thi kuchh banaanaa thaa use lekin banaa kuchh bhi nahin jab se chizon ki haqiqat se huaa huun aashnaa dekhtaa huun par dikhaataa aaina kuchh bhi nahin lauh ik mahfuz hai aur is liye mahfuz hai us ne apne haath se is par likhaa kuchh bhi nahin aks hairat-gaah mein bikhre hue hain har taraf jabki hairat-gaah mein mere sivaa kuchh bhi nahin"
Imdad AkashImdad Akash
Quote
"kam-khvaab the auron ko jagaate hue guzre ham vaqt-e-sahar Dhol bajaate hue guzre ik jaada-e-pur-khaar thi dushvaar thi duniyaa ushshaaq magar jhumte gaate hue guzre har naaz-e-sabaa rashk-e-chaman husn-e-mujassam pathraae agar aankh milaate hue guzre ik ziist ki vaadi thi magar yaad nahin hai aate hue guzre the ki jaate hue guzre pahle kiyaa takhliq use aag se ham ne phir ham hi use haath lagaate hue guzre sur-taal ko ashkaal ko alfaaz mein Dhaalaa imkaan ko imkaan banaate hue guzre vo jaan-e-sukhan gosh-bar-aavaaz nahin thaa divaar ko ashaar sunaate hue guzre kuchh khugar-e-duniyaa to kisi ko gham-e-yazdaan darvesh magar haath chhuDaate hue guzre sharminda-e-vusat hain zaminein bhi khalaa bhi dar dasht-o-daman khaak uDaate hue guzre munh rakh ke tire munh pe tujhe saans pilaai ham jaan se tiri jaan bachaate hue guzre ham bhuul bhi jaaein to hamein DhunD sake tu raste mein tire phuul giraate hue guzre is chashm-e-namak-baar ki viraan gali se baarish mein lagaataar nahaate hue guzre logon ne kiyaa daur-e-junun gharq-e-ibaadat 'aakaash' miyaan khelte khaate hue guzre"
Imdad AkashImdad Akash
Quote
"lamhe shab-e-visaal ke sarf-e-visaal ho gae us ko bhi niind aa gai ham bhi niDhaal ho gae kaise hasin log the kaisi hasin mahfilein vo jo khayaal-o-khvaab the khvaab-o-khayaal ho gae main bhi thaa rashk-e-aaina tum bhi the rashk-e-aaina main bhi sifaal ho gayaa tum bhi sifaal ho gae mujh ko thi un ki zaat se aisi musaabqat ki bas jab main banaa misaal to vo be-misaal ho gae chashm vo naaz-aafrin khul ke baras paDein kahin ham se kai nihaal-e-gham phir se nihaal ho gae baalon mein barf thi yahaan khvaahish bhi sard thi yahaan us ne jo aanch di to ham shoala-khisaal ho gae gutthi hai utni gunjlak asraar-e-kaaenaat ki jitne mire javaab the saare savaal ho gae kaayaa-kalap hui hai yuun gurgaan-e-dasht-e-sus ki girya-kunaan jamaal-ju zohra-jamaal ho gae"
Imdad AkashImdad Akash
Quote
"lamha miri giraft mein aayaa nikal gayaa jaise kisi ne haath milaayaa nikal gayaa kaanTaa saa ik chubhaa thaa mire dil mein khauf-e-marg main ne zaraa saa zor lagaayaa nikal gayaa shaitaan meri zaat ke andar muqim thaa lobaan koThari mein jalaayaa nikal gayaa jab raat khuub Dhal gai soyaa miraa vajud kaun-o-makaan ki sair ko saayaa nikal gayaa mujh mein muqim shakhs musaafir thaa daaimi saamaan ek roz uThaayaa nikal gayaa ik pechdaar kiil thaa ye sirr-e-kaaenaat main ne ise pakaD ke ghumaayaa nikal gayaa"
Imdad AkashImdad Akash
Quote
"har barahman but har ik muslim khudaa le jaaegaa mere dar se har mariz apni davaa le jaaegaa khud mujhe aanaa hai tere paas yaa burda tiraa mere paas aaegaa aur mujh ko uThaa le jaaegaa main had-e-faasil tak aa pahunchaa jo shauq-e-vasl mein vo had-e-faasil ko aur aage baDhaa le jaaegaa mujh ko jaane kis taraf se laa rahaa hai raasta mujh ko jaane kis taraf ye raasta le jaaegaa apne ghar ke saare darvaaze khule rakhtaa huun main juz mire is ghar se koi chor kyaa le jaaegaa aaina-bini ke baad 'aakaash' aankhon ko sambhaal ek bhi aansu agar Tapkaa bahaa le jaaegaa"
Imdad AkashImdad Akash
Quote
"makaan hi na banaae gae zamin kam thi shajar havaa mein ugaae gae zamin kam thi main us jagah huun jahaan se palaT ke suraj mein panaah DhunDne saae gae zamin kam thi bashar muqim the qabron mein aur nae murde samundaron mein bahaae gae zamin kam thi hamein bhi lauT hi jaanaa hai ham se pahle bhi sab aasmaan pe uThaae gae zamin kam thi tamaam umr kaTi ik jagah khaDe rah kar kabhi na ham kahin aae gae zamin kam thi ye kaaenaat-e-safar thaa so raat paDte hi ham aasmaan saraae gae zamin kam thi buzurg aab-e-baqaa pi chuke the aur bachche vajud hi mein na laae gae zamin kam thi khudaa ne aadam-o-havvaa ko kar diyaa paidaa phir aadmi na banaae gae zamin kam thi ham apne aap ko 'aakaash' ghar samajhte rahe hamesha khud hi mein paae gae zamin kam thi"
Imdad AkashImdad Akash
Quote
"yahaan har shakhs apne ghar se kam baahar nikaltaa hai badan kho baiThne ke Dar se kam baahar nikaltaa hai koi saudaa mire sar mein samaataa hi nahin lekin samaa jaae to phir vo sar se kam baahar nikaltaa hai jahaan suraj baras mein ek yaa do din chamaktaa ho vahaan saaya kisi paikar se kam baahar nikaltaa hai zaminein Duub jaanaa chaahti hain pyaas aisi hai magar sailaab hi saagar se kam baahar nikaltaa hai vo jis haivaan ko patthar ke andar rizq miltaa ho vo patthar kaa hai aur patthar se kam baahar nikaltaa hai na jaane kitni aavaazein bulaati hain use lekin ye sannaaTaa mire andar se kam baahar nikaltaa hai abhi aakaash kaa rishta nahin TuuTaa zaminon se magar vo abr ki chaadar se kam baahar nikaltaa hai"
Imdad AkashImdad Akash
Quote
"agarche jaanne vaalon ke saath chalte hain magar ham apne savaalon ke saath chalte hain talab to dekh hamaari tire nagar ki taraf ham apne paanv ke chhaalon ke saath chalte hain sab apne apne tazaadon ke dam se hain zinda sab apne apne havaalon ke saath chalte hain badan sambhaal ke chalnaa shikaariyon ke hujum saDak pe reshmi jaalon ke saath chalte hain safar ke vaaste vo raasta chunaa jis par azaab qaafile vaalon ke saath chalte hain main TuTtaa huaa taaraa huun kitne andeshe mire nahif ujaalon ke saath chalte hain"
Imdad AkashImdad Akash