Quote
"matlab na kaabe se na iraada kanisht kaa paaband ye faqir nahin sang-o-khisht kaa sarsabz huun jo aap dikhaa diije khat-e-sabz kushton ko khet mein abhi aalam ho kisht kaa us huur ki jo gulshan-e-aariz ki yaad thi dekhaa kiyaa firaaq mein aalam bahisht kaa kyaa munshi-e-azal ki ye sanat hai dekhnaa maahir nahin kisi ki koi sarnavisht kaa naadaan e'tiraaz hai saane pe ghaur kar bejaa hai imtiyaaz yahaan khuub o zisht kaa ai 'barq' sair karte hain ham to jahaan ki har kucha-e-sanam hai namuna bahisht kaa"







