Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
tujh se milne par but-e-bedard ye uqda khulaa
bholi-bhaali shakl vaale hote hain jallaad bhi
تجھ سے ملنے پر بت بے درد یہ عقدہ کھلا
بھولی بھالی شکل والے ہوتے ہیں جلاد بھی
तुझ से मिलने पर बुत-ए-बेदर्द ये उक़्दा खुला
भोली-भाली शक्ल वाले होते हैं जल्लाद भी

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
aansu jo bahein surkh to ho jaati hain aankhein
dil aisaa sulagtaa hai dhuaan tak nahin aataa
zindagi to sapnaa hai kaun 'raam' apnaa hai
kyaa kisi ko dukh denaa kyaa kisi kaa gham karnaa
nazar-e-taghaaful-e-yaar kaa gila kis zabaan siin karun bayaan
ki sharaab-e-sad-qadah aarzu khum-e-dil mein thi so bhari rahi