Shayari
main to niklaa thaa charaaghon ko jalaane ke liye
log kam-zarf the daaman ko bachaa kar bhaage
hamaare us ke darmiyaan ye kaisaa faasla rahaa
use bhi sab khabar rahi hamein bhi sab pataa rahaa
ہمارے اس کے درمیاں یہ کیسا فاصلہ رہا
اسے بھی سب خبر رہی ہمیں بھی سب پتا رہا
हमारे उस के दरमियाँ ये कैसा फ़ासला रहा
उसे भी सब ख़बर रही हमें भी सब पता रहा

main to niklaa thaa charaaghon ko jalaane ke liye
log kam-zarf the daaman ko bachaa kar bhaage
yahaan gharib ko sab kuchh to de diyaa us ne
zamin bichhaae hai aur aasmaan oDhe hai
dariyaa chaDhaa to gaanv ke gaanv bahaa gayaa
utraa to kitne shahr ke naqshe banaa gayaa
kabhi to baaDh aa ke apne saath sab bahaa gai
kabhi kisaan baarishon ki raah dekhtaa rahaa
us ko ye dil bhuul sakegaa mushkil lagtaa hai
mushkil se to jaa ke kisi se ye dil lagtaa hai
apne haathon se zahr mat diije
ye kahin zindagi na ban jaae
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
main jis mein rah na sakaa ji-huzuriyon ke sabab
ye aadmi hai usi kaamyaab mausam kaa