Shayari
vo habib ho ki rahbar vo raqib ho ki rahzan
jo dayaar-e-dil se guzre use ham-kalaam kar lo
hujum-e-subh ki tanhaaiyon mein Duub gae
vo qaafile jo andheron ki anjuman se chale
ہجوم صبح کی تنہائیوں میں ڈوب گئے
وہ قافلے جو اندھیروں کی انجمن سے چلے
हुजूम-ए-सुब्ह की तन्हाइयों में डूब गए
वो क़ाफ़िले जो अँधेरों की अंजुमन से चले

vo habib ho ki rahbar vo raqib ho ki rahzan
jo dayaar-e-dil se guzre use ham-kalaam kar lo
hamein baada-kash-e-dard-e-tamannaa
hamin par band hai mai-khaana dil kaa
sab dikhaate hain tiraa aks miri aankhon mein
ham zamaane ko isi taur se mahbub hue
kaun royaa pas-e-divaar-e-chaman aakhir-e-shab
kyuun sabaa lauT gai raahguzar se puchho
aankhon mein ghul na jaaein kahin zulmaton ke rang
jis samt raushni hai udhar dekhte raho
aao dekhein ahl-e-vafaa ki hoti hai tauqir kahaan
kis mahfil kaa naam hai maqtal khinchti hai shamshir kahaan
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
koi bhi yaqin dil ko 'shaad' kar nahin saktaa
ruuh mein utar jaae jab gumaan ki tanhaai
har ek ahd ne likkhaa hai apnaa naama-e-shauq
kisi ne khuun se likhaa hai kisi ne aansu se
umanD ke aankh se ik baar bah chale aansu
hansi hansi mein jo zikr-e-vidaa-e-yaar aayaa