Shayari
ho na paae jab mukammal ishq kaa qissa to phir
shohratein rahne do ab gum-naamiyaan hi Thiik hain
gulaab khvaab sitaare dhanak udaas charaagh
paDi hai fasl-e-mohabbat kaTi-kaTaai sabaa
گلاب خواب ستارے دھنک اداس چراغ
پڑی ہے فصل محبت کٹی کٹائی صبا
गुलाब ख़्वाब सितारे धनक उदास चराग़
पड़ी है फ़स्ल-ए-मोहब्बत कटी-कटाई सबा

ho na paae jab mukammal ishq kaa qissa to phir
shohratein rahne do ab gum-naamiyaan hi Thiik hain
piine paDte hain sainkaDon aansu
dard khud to davaa nahin hotaa
kyaa bataaun main ki tum ne kis ko saunpi hai hayaa
is liye sochaa miri khaamoshiyaan hi Thiik hain
is qadar mujh pe marti hai pagli koi
rone lagti hai d p haTaane ke baad
shaam ke tan par saji jo surmai poshaak hai
ham charaaghon ki faqat ye raushni poshaak hai
sab ki taqriron mein vaise hai khudaa sab kaa hi ik
haan magar har dil ki apni mazhabi poshaak hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jo kho gayaa hai kahin zindagi ke mele mein
kabhi kabhi use aansu nikal ke dekhte hain
main thaa sadiyon ke safar mein 'ahmad'
aur sadiyon kaa safar thaa mujh mein
milne diyaa na us se hamein jis khayaal ne
sochaa to us khayaal se sadma bahut huaa