Shayari
kabhi khayaal ke rishton ko bhi TaTol ke dekh
main tujh se duur sahi tujh se kuchh judaa bhi nahin
vafaa nigaah ki taalib hai imtihaan ki nahin
vo meri ruuh mein jhaanke na aazmaae mujhe
وفا نگاہ کی طالب ہے امتحاں کی نہیں
وہ میری روح میں جھانکے نہ آزمائے مجھے
वफ़ा निगाह की तालिब है इम्तिहाँ की नहीं
वो मेरी रूह में झाँके न आज़माए मुझे

kabhi khayaal ke rishton ko bhi TaTol ke dekh
main tujh se duur sahi tujh se kuchh judaa bhi nahin
chaand mere ghar mein utraa thaa kahin Duubaa na thaa
ai mire suraj abhi aanaa tiraa achchhaa na thaa
hamin ne raaston ki khaak chhaani
hamin aae hain tere paas chal ke
zaat kaa aaina jab dekhaa to hairaani hui
main na thaa goyaa koi mujh saa thaa mere ru-ba-ru
thaa e'timaad-e-husn se tu is qadar tahi
aaina dekhne kaa tujhe hausla na thaa
titliyaan rangon kaa mahshar hain kabhi sochaa na thaa
un ko chhune par khulaa vo raaz jo khultaa na thaa!
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad